Monday, June 30, 2008

Tumhe kya dun?

Tumhe kuch dena chahta hun...
kya dun, es uljhan main hun,
tumhe main kya dun?

Tumhe chand dun, ya tare dun,
ya tum bin bitaye,
wo udash sisakte rate dun,
Tumhe aakir kya dun?

Tumhare judai main jo,
Diwaro aur patharo par jo,
Ungaliya se khuraj kar,
Tumse milte julte jo,
Taswir banai hai,
Wo hi tumhe dun,
Kaise tumhe apne zazbaat dun?
Tumhe aakhir kya dun?

Tumhe kya dun, Tutti tare dun,
ya apne bikharte khayalat dun,
Tumhe kya dun?
Tumhe chand dun ya tare dun,
Khud ko to maine "nilaam" kar diya,
Ab Tumhe kya dun,
Yahi uljhan hai ki tumhe kya dun.......
Tumhe kya dun......

4 comments:

Anonymous said...

the whole description in second canto about the potrait..mehboob ki tasvir! is good..and vivid
par wahi hai end me agar kuch acha na ho toh padhne wala bhi ro dega...aur darr se maare tumhe nahi padega...ki aur bhi isse bura hoi sakta hai
have the quality to write

rajkarnan2014 said...

wawa kay sunder ahe

rajkarnan2014 said...

wa

rajkarnan2014 said...

wawa sunder